Mauzuu-e-Sukhan

apnaa mauzuu-e-sukhan inke siwaa aur nahi..

Wednesday, May 03, 2006

Jashn-e-Margh

lahuu dar-o-diiwaar se utar jaane diyaa hotaa
jashn-e-margh se pehle mujhe mar jaane diyaa hotaa

aah-o-zaari yeh kehti hai aye kaash ke tuune
khanjar puura dil mein utar jaane diyaa hotaa

aur hote woh ahl-e-karam jo yun bhi ji lete
seh lete har zakhm, par jaane diyaa hotaa

dekha hi nahi tesha tere mudne ke pehle
hath dil par rakh, sar jaane diyaa hotaa

woh chor gaya hamein tanha khud hi 'kamaal'
bhalaa humne use kyunkar jaane diyaa hotaa

2 Comments:

Anonymous Anonymous said...

This comment has been removed by the author.

11:25 AM  
Anonymous Anonymous said...

dekha hi nahi tesha tere mudne ke pehle
hath dil par rakh, sar jaane diyaa hotaa

subhaan allah. Janab aaj aap ke kalaam padh kar ek roohani sukuniyat mili hai. aaj ke is daur mai jab har shakhs haath mai kalam liye shayer bana firta hai to kisi achche sukhan ka kalaam sunna hamari khushkismati hai. bas youn hi apne kalaam se hame ru-b-ru karwate rahen..

un aarizon ke saaye kya pad gaye thhe humpar
kyun surkh surkh thha rang mere mazaar ka....bahot khoob!!!

11:35 AM  

Post a Comment

<< Home