Mauzuu-e-Sukhan

apnaa mauzuu-e-sukhan inke siwaa aur nahi..

Tuesday, December 15, 2009

pataa

kyaa lutf ki main apnaa pataa aap bataauun

kiije koi bhuulii huii khaas apni adaa yaad

~Jigar

Saturday, September 20, 2008

shab-e-aarazuu

chali simt-e-ghaib se ik hawaa, ke chaman suruur ka jal gayaa
magar ek shaakh-e-nihaal-e-ghum, jise dil kahein so harii rahi

Monday, March 19, 2007

Bukhaar

vaada hi na rahaa jab visaal-e-yaar ka
to kyun hua yeh aalam phir intezaar ka

un aarizon ke saaye kya pad gaye thhe humpar
kyun surkh surkh thha rang mere mazaar ka

hai chaaraagar to mil phir chaaraagari ki khaatir
jo kuch nahi bahaana to rozgaar kaa

khwaab-e-paa-bos-e-jaana, hirs-e-saayaa-e-ruu
dar ka huaa woh aalam aur yeh diiwaar kaa

pad hi gaye na patthar phir aql pe tumhaari
kuch yaad na rahaa tumko pichhli baar ka

laakhon mein ek thha woh shikast-e-dil ka maaraa
jo bik rahaa thha shaayad kuch sau hazaar kaa

in baarishon mein kyun na phir jhoomta 'kamaal'
kuch zikr kar rahaa thha halke bukhaar kaa

(aariz - cheeks, chaaragar - doctor
khwaab-e-paa-bos-e-jana - dream of kissing the beloved's feet
hirs-e-saaya-e-ruu - desire for the shadow of her face)


Wednesday, May 03, 2006

Jashn-e-Margh

lahuu dar-o-diiwaar se utar jaane diyaa hotaa
jashn-e-margh se pehle mujhe mar jaane diyaa hotaa

aah-o-zaari yeh kehti hai aye kaash ke tuune
khanjar puura dil mein utar jaane diyaa hotaa

aur hote woh ahl-e-karam jo yun bhi ji lete
seh lete har zakhm, par jaane diyaa hotaa

dekha hi nahi tesha tere mudne ke pehle
hath dil par rakh, sar jaane diyaa hotaa

woh chor gaya hamein tanha khud hi 'kamaal'
bhalaa humne use kyunkar jaane diyaa hotaa

Tuesday, July 12, 2005

Ghadiyaan

Just on an impulse


haalaat ke tiiron se chhalnii hain badan apne
paas aao ke siine ke kuch zakhm to bhar jaayein

simtii huii yeh ghadiyaan, phir se naa bikhar jaayein
is raat mein ji lein hum, is raat mein mar jaayein

ab subhaa naa aa paaye, aao yeh duaa maangein
is raat ke har pal se raatein hi ubhar jaayein

-Sahir

Saturday, June 18, 2005

Ibteda

Twas long due. This space is for those who eat Ghalib, drink Meer and sleep Faiz. Your habits are very healthy.

And on frequently rare occasions like today, there would be my own humble attempts at poetry, mostly urdu.


dard ki jab intehaa ho gayi
ghazal aahon ki zubaan ho gayi

kehne to gaye the haal-e-dil
baat par yaan ki vaan ho gayi

bikhar gayi yun hasti hamaari
goyaa teri zulf-e-pariishaan ho gayi

hui guftaguu dil hi dil mein
baat aankhon hi mein bayaan ho gayi

aati thi sar-e-baam jo pichhle peher
shaayad woh kamsin jawaan ho gayi

chehra zard jigar lathpath aankh patthhar
chaliye ishq ki daastaan ho gayi

thi hayaat ke jinke dam se 'Kamaal'
woh hasratein ab nihaan ho gayi

[Ibteda - beginning, hasti - existence, goyaa - as if, zulf-e-pariishaan - disarrayed hair, sar-e-bam - on the terrace, zard - yellow, hayaat - existence/world, nihaan - hidden ]