Mauzuu-e-Sukhan

apnaa mauzuu-e-sukhan inke siwaa aur nahi..

Monday, March 19, 2007

Bukhaar

vaada hi na rahaa jab visaal-e-yaar ka
to kyun hua yeh aalam phir intezaar ka

un aarizon ke saaye kya pad gaye thhe humpar
kyun surkh surkh thha rang mere mazaar ka

hai chaaraagar to mil phir chaaraagari ki khaatir
jo kuch nahi bahaana to rozgaar kaa

khwaab-e-paa-bos-e-jaana, hirs-e-saayaa-e-ruu
dar ka huaa woh aalam aur yeh diiwaar kaa

pad hi gaye na patthar phir aql pe tumhaari
kuch yaad na rahaa tumko pichhli baar ka

laakhon mein ek thha woh shikast-e-dil ka maaraa
jo bik rahaa thha shaayad kuch sau hazaar kaa

in baarishon mein kyun na phir jhoomta 'kamaal'
kuch zikr kar rahaa thha halke bukhaar kaa

(aariz - cheeks, chaaragar - doctor
khwaab-e-paa-bos-e-jana - dream of kissing the beloved's feet
hirs-e-saaya-e-ruu - desire for the shadow of her face)


2 Comments:

Anonymous Anonymous said...

wahhhhh subhanallah!!! beautiful one that!!!

10:55 PM  
Blogger Maya said...

absolutely brilliant! :)

11:31 PM  

Post a Comment

<< Home